Kaun hain hamare Ali (Qarram Allahu Wajhahu)?
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Aadam Alaihissalam ki takhleeq se 14 hazaar saal pehle Mai aur Ali Allah ki Bargah me Ek Noor they.”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Ali ko Meri Mitti se banaya gaya.”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Mai aur Ali Ek He Nasab se Hain!”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Mai aur Ali Ek He Darakht se Paida Hue Hain! (yaani Ek He Shajra, Ek He Nasab)”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Ali ka Gosh Mera Gosh hai aur Ali ka Khoon Mera Khoon hai.”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Ali Mujhse hai aur Mai Ali se Hun.”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Ali Mere liye aise hai jaise Harun Alaihissalam Musa Alaihissalam keliye.”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Mai Ilm ka Shehar hun Ali Uska Darwaza hai, jisko is Shehar me aana ho wo darwaze se aaye.”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai.”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Tum dono jahan me Mere Bhai ho.”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Ali Mere Jaisa Hai (ka Nafsi)”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Ali Mere liye aise hai Jaise Mera Sar Mere Jism keliye!”
Ali wo Jiske liye RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Ay Allah! Jo Ali se Muhabbat karey Tu usse Muhabbat kar aur jo Is se bugz rakhe Tu us se bugz rakh.”
Ab bhi aankh khuli ya aur batayen “Kaun Hain hamare Maula Ali?”
Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam
- Imam Ahmad ibn Hanbal, al-Fada’il al-sahaba, vol.2, pg.663 H#1130 from Abdur-Razzak, from Mu’amar, from al-Zuhri, from Khalid ibn Mu’dan, from Zadan, from Salman al-Farsi. (RadiAllahu Anhum)
Imam-al Tabari, al Riyad al Nadirah, vol.2, pg.163- 164 and vol.3 pg.154
Mustadrak al-Hakim, vol.2 pg.609
Imam-al Jawzi in Tadhkirat Al-ashy khawass, pg.46
Musnad al-Firdaus, H#4176 (its mentions 4000 years instead of 14000 years)
Tarikh Damishq ibn Asakir, Vol.3, Pg.154
Imam Dhahabi Mizan al-itidal, vol.1 pg.235
Imam al-Razi in Zayn al Fata fi tafsir Surat Hal ata
Imam Ahmad ibn Hanbal in Zawaid manaqib Amir al Muminin, manuscript.
This tradition has also been narrated by also Ibn Mardawayh, Ibn Abd al Barr, al Khatib al Baghdadi, Ibn al Maghazili, al-Asimi, Shiruyah al Daylami and others from Imam Ali Alaihissalam, Hazrat Salman , Abu Dharr , Anas ibn Malik, Jabir ibn Abd Allah and other companions (RadiAllahu Anhum Ajmaeen) Musnad Ahmad bin Hanbal, vol.4 pg.66 - Tabrani, Mujam al Awsat, 6/162,163 #6085
Haysami, Majma uz Zawaid, 9/168 - Imam Alusi in Tafsir Ruh al-Ma’ani, Vol.6 pg.186
Imam Tabarani in Mujam al awsat, vol.3 - Tirmidhi, vol.13 pg.178
Mujam al awsat Tabarani, vol.3
Manaqib al-Maghazili, pg.122
Asad Al-Ghaba ibn Atheer, vol.4 pg.26
Riyadh Al-Nadhira Tabari, vol.2 pg.216
Manaqib Khawarizmi, ch.14, pg.87 - Tabrani Mujam al Kabir, 12/18, #12341
Haysami, Majma uz Zawaid, 9/111 - Sahih Bukhari (Baab)
Tirmizi, Jaame al Sahih, 5/632, #3712
Ibne Hibban, Sahih, 15/373, #6929
Hakim, Mustadrak, 3/119, #4579
Nasayi, Sunan al Kubra, 5/132, #8484
Ibne Abi Shaibah, Musannaf, 6/372,373, #32121
Abu Ya’ala, Musnad, 1/293, #355
Tabrani, Mujam al Kabir, 18/128, #265 - Sahih Bukhari, 4/1602, #4154
Sahih Muslim, 4/1870, 1871, #2404 - Tirmzi, Jaame as Sahih
Hakim, Mustadrak - Ye Hadees-e-Pak 150 se zyada alag alag sanado se riwayat hui hai hamari Ahle Sunnat ki kitabo me. Batao kitne refence chahiye.
- Tirmizi, Jaame as Sahih, 5/636, #3720
Hakim, Mustadrak, 3/15, #4288 - Sunan al-kubra Nasai, vol.7 #8403
Fazail e sahaba Ahmad, vol.2 #966
Khasais e Ali Nasai, pg.63 #71
Musnad ibn abi Shaybah, vol.6 #32077 - Mustadrak Hakim, vol.3 pg.141
Al-Jami Suyuti, vol.1 pg.583
Sawaiq al-muharriqa Haythami, pg.125
Tarikh Baghdad Al-Baghdadi, vol.1 pg.51
Hilyat ul-Awliya Asfahani, vol.1 pg.182
Al-Riyadh Al-Nadihra Tabari, vol.2 pg.219
Manaqib, Khawarizmi, ch.14, pg.91 - Tabrani, Mujam al Kabir, 2/357, #6505
Haysami, Majma uz Zawaid, 9/106
Hisamuddin Hindi, Kanzul Ummal, 13/138,139, #36437
Ibne Asakir, Tarikh e Damishq al Kabir, 45/179
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.
![](https://globalsufimedia.com/wp-content/uploads/2020/12/Article-Mohammed-Shahbaaz-Bandanawazi.jpg)
Author:
Mohammed Shahbaaz Bandanawazi
Related Topics
RECITE THIS SALAWAT ALAA ‘N-NABI ﷺ
Dadicate Salawat ﷺ so Allah will take care of you.
Ethiopia’s Patron Sufi Saint Sheikh Abadir Umar ar-Rida Al Harari.